Friday, November 1, 2019
sunsaan raasta
Thursday, October 31, 2019
Dil ki daastan
Tuesday, October 29, 2019
Mera Wajood
Monday, October 28, 2019
Zindagi ka sabakh
Ek soch- "Akelepan ki"😌
-Parul Sharma
Saturday, October 26, 2019
mujhe bhul na jana kabhi😌😊..
Tera fikr krna mere mun ko yu mohit krdeta hai jaise madhumakhi ka fool se ras choosna mithas ko janm deta hai
Vakt kum hone ke vavjood mere liye wo chand pal nikalna poore din ko khoobsurat bna deta hai jis tarah ghar ki safai koi tyohaar aane pe hona sb chijo ko chamka deta hai
Mere khane sone ki parvaah kar tu mujhe gad gad kar deta hai
Mujhse yu betahashaasha prem kar mere jeevan ko ullas se bhar deta hai
Huste khelte ladte poora din yuhi vyateet krdeti hu
Tere sath sab kuch kar har chij ka maja le leti hu
Pta ni chlta yu vakt kha hi Gujar gya
Vakt nikalte vakt hi ni lagta ki tu kab sone chla gya
Ek ek pal ek ek baate yaad na rehti mjhe yeh khoob smjhti hu
Parantu Tu teri har khushi ka gyaan h mujhe tabhi teko khush kar deti hu
Teri aankho main wo chamak dekh meri aankhe bhar aati hai
Tera is tarah mere liye pyaar dkh meri roo kaap jati h
Sochti hu ab vakt aagya tujhe alag sthar par smjhne ka
Wo har mumkin chij krne ka or tujhse karwaane ka
Jeevan m uch nich hui jisne brahm tere liye paida kia
Tera yeh bekaraar pyaar dekh us brahma ko jatt se tod dia
Ab samay h har chot par malham lagane ka
Kaate nikal fek tujhme poori tarah doob jane ka
Itna andar basana hai tujhe ki tu bhi upar na aa paye kbhi
Itna ghusna hai tujhme ki sara jahan dkh
jaye yahi
Baat bs ab yeh kehkar main idhr hi khatam karti hu
Jaan tha tu mera jaan hai abhi jaan hi rehna bhul na jaana mjhe kbhi
Bhul na jana kabhi.....
- Parul Sharma
Wednesday, October 23, 2019
"PYAAR"- ek jaswaat sirf uske sath
Ab kya bolu tumse yeh zubaan par bayaan ho rha nhi
Dimaag mein justjoo chal rhi lekin dil ab ro rha nhi
Hotho pr shabd nhi hai aj pr aankho main shikanjas dikh rhi
Smjha tha jisko apna parwana uski har baat aj pta chal rhi
Raat ke andhere se amavasya ke badlo se pare
Aj zindagi ki sacchai samne aayi hai
Sch hai ya jhuth yeh to pta chla ni abtak parantu uski bewafai ne ki aj bhaut burai hai
Yaad h abhi bhi mjhe wo vakt jo bada hussen hua krta tha
Usko apnana sirf ek jaswaat ni poora mera sansaar usi main basta tha
Ghamandi thi, smjhti kum thi, gussa to mera jwala tha
Uske pyaar ke rango main rang kar ab to sb kuch nirala tha
Vakt beeta baate piche chooti sab kuch ab badalna tha
Kaise btau usse main sbkuch, ab uske rang main mjhe bs dhalna tha
2 kadam ya phir 1 hi shi
Uske sath hi chalna tha
Chappal toote ya zamana roothe mjhe to bs uske upar machalna tha
Pyaar kaho ya pagalpan ab to bs uske sath udna tha
Pankh lgakr ya sapna dekhkr ab to bs sath main Aasmaan choona tha
Uska kuch bhi kehna mere liye anmol hua krta tha
Ankho main chamak jhalkakar wo mjhe bada hussaya krta tha
Wo ghanto tak ghumna idhr udhr ki baate krna bada psnd aaya krta tha
Ladna Or phir or bhi jyada ladkar manana wo hi mjhe batlaya krta tha
Kehta tha ki tu badi sacchi hai meri pyari bacchi hai
Rasmalai si meethi Tu badi hi achi lagti hai
Hussti thi khilkhilati thi iski baate sun main behak jati thi
Jhatpatati thi farfarati thi usse milne ko behad sharamati thi
Mehkana usne mjhe sikhlaya
Pyaar kr usne mjhe chamkaya
Mere andar ki swachhta dekh usne hi mjhe btaya
Btaya ki tu.. Tu Is duniya se bhaut alag hai
Mun se saaf Or bahar se sakt, akal se thodi na smjh hai
Sath dia mera apne upar atwaar kraya
Apne ap se hi mjhe bhaut sara pyaar krwaya
Wo din kya din hua krte the
Dil ko sukoon Or jaswaat shanti ke prateek hua krte the
Khush thi main bhaut khush thi
Is duniya main usko paakar befikr thi
Par aagya wo din jaha befikr hona mjhe mehnga pada
Jaswaat se sochkr mjhe ab choor choor hona pada
Btaya tha usko mooh kharab hai mera
Smjhaya tha usko ni pyaar hu main tera
Usne tab haade paar ki mere pyaar main
Apni or kheecha mujhe isi intezaar main
Ki hogi main poori ki poori sirf uski
Sajaugi main uske dil ki ek din basti
Pyaar to Maine bhi kia bhaut usse dil poora hi dia sirf usse
Hu thodi jahlli main, ni keh pati shi baat usko
Hu thodi kadwi main, jo hazam na ho pati bilkul usko
Socha tha sambhalega wo
Mjhe ni sirf, par hum dono ko
Khulkar pyaar kia tha yaar poora ka poora tujhe hi dia tha yaar
Andar se chaha tha tujhe
Thodi koi dikhawa tha
Mana tha sch main tujhe apna
R kuch na tujhse kbhi chaha tha
Koshish ki sath rehne ki par ab tujhe yeh chalana na tha
Jo tere dil ke kareeb tha ab wohi tujhe jachta na tha
Pehle kbhi tune door rehne ka bahana na dhundha
Humesha tujhe mere pass aana tha
Ab vakt aisa aa gya
Jab tere ko mjhse door bus door hi khi jana tha
Ego hai ya kya hai yeh to mjhe malum nhi
Tere har baar izhaar na krne ka ab mjhe koi absos nhi
Sochti hu main aksar kya se kya ho gyi hu
Manti hu main poora tujhe kho ab chuki hu
Shabd ab yaha khatam hone ko aa rhe nhi
Haath dard ho rhe par ab ruke ja rhe ni
Jo baate kehdia krti thi ab khi wo chipi baithi hai
Zubaan khamosh hai par abhi bhi kai kahaniya uljhi hui hai
Suljhana tujhe tha tu to or uljha baitha sab
Main q aisi hu isi main tu gawa baitha sab
Itna kehne ke baad bhi kahani abhi bhi adhuri si lagti hai
Kya kaise kb kisse bolu yeh baat abhi bhi bachti hai
Kaash main wo samay la pati jo hum dono ko chahiye tha
Zindagi Or bhi asaan ho jati phir na koi judaiiye tha
Kash main usse batla pati ki kitna keemti h Tu mjhe
Bacchus hi hu teri itna to smjhle mjhe
Itna to smjh le mjhe.....
-Parul Sharma
Monday, October 21, 2019
Rishte- ek anmol ehsaas
Main socha krti hu aksar, q rishto main khataas paida ho jati hai
Q hi logo ki sochne ki sehanshakti khi kho si jati hai
Pyaar to bharpoor hota hai rishto ke bhitar
Samaa rangeen lagta hai apno ke sath rehkar
Hussi khushi ke pal q ladai ka mod le lete hai
Q apne apno ko galat smjh hi lete hai
Mukh se nikli hui vani q jehr ban jati hai
Apno ko hi upar se niche tak jhanjor kar rakh deti hai
Aankho se nikale hua aansu dukh ko darshaate hai
Dheere dheere chupke se leti hui siskiya mehsoos krati hai
Akhir q.. Q galat smjha usko Jisne tujhse ladai ki
Tha to wo tera apna hi jisne teri burai ki
Kuch to kia hoga tune bhi jarur
Jisko tune us vakt smjha na
Ab pachtana kis kaam ka
Ab usko tera kuch smjhna na
Chand palo ki baat thi
Raat badi chalaak thi
Tu jhuk jati smjhdari dkhlati
Isi main sbki saugaat thi
Dil dukhe log roye
Tune bhi ro dala
Jo na krne ka is baar socha tha
Usi ka shubharram tune hi kr dalaa
Badalna chahti thi tu sbkuch, smjhdaar ho tu gyi thi
Chote to nadaan hote hai, yeh kyu usvakt tu bhul gyi thi
Galti sirf ek ki ni dono ki dikhti hai
Smjhdari sbki ni khud ki hoti hai
Bada chota umr ni karm banate hai
Gusse hetu ghamand se jaswaat choor choor ho jate hai
Vakt gya ladai hui, nayi chije tumse ab mujhko sunneko mili
Sch ho ya jhuth par is vakt tum mjhko andar se jaanne ko mili
Choti si dikhti ho badi smjhdaar ho
Itni gehri ho, bhaut Sare kirdaar ho
Kuch tumne kha or kuch humne sunaya
Baat waha hi khatam hui
Isko zyada vakt ke liye yaad na rkhna
Ab raat nikal hi gyi
Yeh to zindagi ka karvaan hai jo chlta rhta hai
Baarish ke mausaum sa aksar badalta rehta hai
Tum jo thi wohi rhogi mere liye
Tum pass thi or pass hi aaoge hum sbke
Galat sochna band kro dimaag thoda taaza kro
Pyaar bhaut hai ladki... Bus ankh kholkr dekha kro....
Dil ke kuch raaj jo hai bade hi khaas😍🥰
Mun ki baat
Aankh khulne ke sath sath teri raah dekha krti hai
Tujhse itna dur hokar dil tujhko yaad krta hai
Tere aane ki tareekh main abhi vakt hai, yeh samajh dil rone ko krta hai
Tu kitna anmol hai yeh shabdo main bayaan na ho pata
Baar baar tujhse lad, tujhe or pyaar karna jaruri ho jata
Main kya hu yeh tu waise hi jaanta
Main main nahi tere bina yeh tu kabhi ni manta
Tujhme kuch aisa mila mjhe jo bakiyo main dekha ni
Tujhe kuch aisa dia jo bakiyo ko mujhse mila nahi
Ab is pankti ko kya hi log samjhege isse fark padta ni
Baat jaruri yeh hai ki sab dene ke baad bhi tu mjhe milta ni
Tune bataya main kya hu tere liye
Tune jataya hum kya ho skte apne liye
Zara gaur kar khud bhi samjh leta
Is rishte ka wo anmol roop Tu bhi chakh leta
Mjhe sab sikha kar kaha ka rasta tune teh kara
Mjhe kuch na btakr akele mjhe kyu chod chala
Sawaal tab bhi tha or aaj bhi rahega
Pyaar tab hi tha ab na bachega
Ki kyu, kyu dhong kra is aadambar duniya main tune
Kyu prayaas kia pyaar ka tamasha karne
Kya hi mila is natak ko rachkar
Kyu loot lia mjhe yu tanha karkar
Chod gya tu is duniya main mjhe akele
Sikha gya tu dosti ka khel yu khelke
Ab na hi Tu raha, na hi main
Vade toot gaye jhoothe rishto ki tarah
Na koi sooraj ki kiran ab padti hai aankhon par
Na koi aas main baitha rehta hai dehri par
Khush rehna, mukkabal rehna
Kintu jhuthi duniya ka jaal kbhi na bunnna
Kbhi na bunnna...