Tuesday, October 29, 2019

Mera Wajood

Ghar main badi hu sbse, dil se abhi bhi bacchi hu
Haalat ne bada kr dia mujhe par apne liye thodi si kacchi hu
Numaishe bharpoor ho rhi mere khilaaf jisme mera koi dosh nhi
Phir bhi datkar khadi hu main, jiska kisi ko hosh nhi
Jyada umar nhi hai meri phir bhi zindagi ko jann ne lagi hu
Zindagi roothi hui hai mjhse phir bhi is roothepan ko apna maan ne lagi hu
Bheetar se behaal hu phir bhi apno ko khush rkhe hua hu
Jaruri hai majboot rehna rishte ki door pakde hua hu
Har chij sambhalni hai mjhe ghar m badi jo hu
Aandhi aaye chahe toofan aa jaye humesha nidar khadi hu
Mere bhi dukh hai chipe hua najuk hai
Sakt bankar khadi hu parantu mere jaswaat bhi bade bhavuk hai
Toot chuki hu aisa aksar lgta hai
Apne parivaar ko dekh ab yeh sb najayas dikhta hai
Aj tk maa baap ne sb kuch dia mjhe ab mera vakt aaya hai
Apne dukh dekhkar agar mukh  mod lia maine aisa kalyug nhi abhi aaya hai
Farj aada krna hai sbko khush jo rkhna hai
Apni jimmedaari nibhakar mjhe bhi khush rhna hai
Kai jaswaat hai mere ankho main ashru hai bhare
Raat ke kale saye m nikal jate hai bina btaye saare
Galtiya jeevan main kafi ki hai 
Pachtaya bhi, sikh jo ab mjhe mili hai
Bhool jana chahti hu sb kuch ab main
Mita dena chahti hu is asmanjas ko dil se
Ajaad hona chahti hu in apni khud ki bediyo se
Fakr krna chahti hu khudpr main dil se
Shanti samridhi ka prateek hu main
Apne bare main yehi soch rkhti hu main
Nhi padna mjhe kisi ki sajisho main
Karm kar mjhe bs fakr krwana h apno ko unke dil main
Apno Ko unke dil main.. 
                                   - Parul Sharma

No comments:

Post a Comment