Tum mere the, tumhara sabkuch apna sa lga mujhe
Kya pata tha jo tum de rhe ho wo mera hai hi nhi
Sapno main khoyi hui main mujhko ab tera sahaara nhi
Meethi mujhe tumhari boli lagti thi, koyal ki madhur awaaz mujhe sunai padhti thi
Saama magan mukt ho jaya karta tha
Tumme khokar jeevan rangeen malum padta tha
Raat ke saaye se main tumhare sath rehkar bachti thi
Sooraj ki wo pehli kiran tumhare sath uthkar main dekha karti thi
Tumhara hona har pal ko khushnuma kar jaya karta tha
Koi takulluf nahi tumhe is baat ko jaan mun hulka ho jaya karta tha
Mera yu pareshaan karna tumhe behad pasand aaya karta tha
Is baat se anjaan main nadaan ko yeh kabhi samjh na aaya karta tha
Apne aap ka ek naya roop tumse milkar dikha mujhe
Jo shayad kabhi jaan na pati, tumse milkar jaana mai ne
Khushi meri shayad kabhi kabhi jyada ho jati hai
Mere jeevan main tabhi to jald hi "Qyamat" Ki raat aa jati hai
Sab kuch sacha hone ke babjood khot dil main aa hi jati hai
Jo sirf apka hota hai, badte hua vakt ke sath uski bhi soch badal hi jati hai
Jab koi apko dil deta hai to phir apse dil bhi leta hai,
Dena lena to dastoor hai zindagi ka, tabhi to rishta kayam hota hai
Jaswaat sambhale jaate hai, ek dusre ko btaye jate hai
Jism ka ek hona jaruri ni, is tarah bhi log ek dusre ke kareeb aa jate hai
Jab pyaar hone lagta hai, dard bhi meetha hua karta hai
Samay badhta rhta hai, rishta bhi purana hone lagta hai
Dard jo meetha tha wo ab kadwa pta chalta hai
Uska dil jo tera tha wo rootha hua milta hai
Chije jo apas main ek dusre ko di thi
Wo ab apas main chini jati hai
Jisko khel khel main pyaar ka naam dia tha
Wo ab barbaadi kehlati hai
Bola tha usne,
Hum do jism ek jaan hai
Poori kaynaat main hum do mahaan hai
Yeh rishta jo humne kayam kia hai aaj
Pehnauga main tumhe ek din heero ka taaj
Rakhuga humesha tumhe apni rani bnakar
Is pyaar ke attot bandhan ko humesha sajakar
Aaj bhi yaad hai saare vaade tere Sare kisse
Jhoote nikle wo attot saare rishte
Jakhmi kar mujhe tu yu chla gya
Bavandar aakar mera sabkuch le gya
Jo tune dia wo kabhi mera tha hi nahi
Bewakkofi meri jo maine us vakt samjha nhi
Har pal har lambha jab bhi tune kuch kia mere liye
Un chijo ko yaad kar aansu bhar hi aaye mere
Chije jo dekar tune mujhse jis tarah chini
Yeh sikh jarur tthi mere liye warna kaise hoti yeh Anhoni
Chinta na kar, kabhi kamjor na thi main yeh tu ache se samjhta hai
Kya kar sakti main yeh sabko idhar hi dikhta hai
Haa, thodi thokar jarur lagi mujhe yeh ehsaas samjhte hua
Zaroori bhi to tha, jeevan ka raaj samajhne ke liye
Vakt gya baate badi insaan badal gye
Jeevan ka saar isi main hai ab hum sb kuch samjh gye
Ab na hi koi or aayega or na hi hum ab kahi jayege
Jo hai hum me bus apne apko or aage badhayege
Kisi se kuch nhi chahiye or na hi koi ab aas hai
Bas hum apne pass rhe baki sab bakwaas hai
Udaas ho wo ya khush rhe fark ab padta nhi
Jo karna tha use wo hogya, ab kuch bachta nhi
Main badh chuki ab aage bina kuch tera liye
Yaad rhega Tu mujhe, ae zindagi ke sabak mere
Zindagi ke sabak mere....
No comments:
Post a Comment